Wednesday, May 19, 2010

Sukh!


Himalaya ki god me,
jamuni nili pahadiya,
unke beech, ek sunder si hari ghati,
aur usme basa kuch bhoore kale jhopdo ka,
ek sundar sa gaon.

Jaha nili kali nisha jate jate,
nishchint soye logo ko,
dheere se jaga de.
aur usha, apni lal lal kirno se,
unme oorja bhar de.

ve nirbhik ho, kyuki unka man nirmal ho,
ve parishram ka paudha rope,
jisme sundartam phal lage.
ve dukh bant le aur sukh bant de,
ve saundarya ka anand le,
aur srajan ka sukh bhoge,
ve tyag ka anand le,
aur prem ka ras le.

Yahi hai manav jeevan ki,
meri sabse sundar kalpana.

1 comment: